Wednesday, January 03, 2007

Dil Dhoondhta hai....

lamhe jinhe yaad kiye dil umang se bhare
mausam jise mahasoos qatra-qatra kare
vajood jo jeene ka sahaara bane
diya jo raste ka taraana bane
aasman jo sitaaron se bhara hua ho
bikhare phool jo pat-zad me bhi sang ho
yakin nahi hota sab waise hi to hai
magar dil ko kisi aur cheej ki talash hai
shayad dil dhoondhataa hai....
phir wahi furasat ke raat- din....



hmmm...defintely the famous song by Gulzar strikes ....

"dil dhoondhataa hai, phir wahee furasat ke raat din
baithhe rahe tasawwoor-ye-jaanaa kiye huye

jaadon kee narma dhoop aaur aangan mein let kar
aankhon pe khinch kar tere daaman ke saaye ko
aaundhe pade rahe kabhee karawat liye huye

yaa gamreeyon kee raat jo poorawaaeeyaan chale
thhandee safed chaadaro pe jaage der tak
taaron ko dekhate rahe chhat par pade huye

barfilee sardiyon mein kisee bhee pahaad par
waadee mein gunjatee huyee, khaamoshiyaan soone
aankhon mein bheege bheege se lamhe liye huye

dil dhoondhataa hai, phir wahee furasat ke raat din.....
"

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home