lamhe jinhe yaad kiye dil umang se bhare mausam jise mahasoos qatra-qatra kare vajood jo jeene ka sahaara bane diya jo raste ka taraana bane aasman jo sitaaron se bhara hua ho bikhare phool jo pat-zad me bhi sang ho yakin nahi hota sab waise hi to hai magar dil ko kisi aur cheej ki talash hai shayad dil dhoondhataa hai.... phir wahi furasat ke raat- din....
hmmm...defintely the famous song by Gulzar strikes ....
"dil dhoondhataa hai, phir wahee furasat ke raat din baithhe rahe tasawwoor-ye-jaanaa kiye huye
jaadon kee narma dhoop aaur aangan mein let kar aankhon pe khinch kar tere daaman ke saaye ko aaundhe pade rahe kabhee karawat liye huye
yaa gamreeyon kee raat jo poorawaaeeyaan chale thhandee safed chaadaro pe jaage der tak taaron ko dekhate rahe chhat par pade huye